Refund policy

Return & Refund Policy
Waldro – Return & Refund Policy
Waldro par hum aap ko "Allow to Open" (Parcel Khol Kar Dekhne Ki Sahulat) ki sahulat dete hain taake aap bina kisi shak o shubah ke apna order wasool kar sakein.
1. Parcel Checking Policy (Rider Ke Samne)
Jab humara courier rider aap tak parcel le kar aaye, toh aap ko parcel usi waqt khol kar check karne ki poori ijazat hai.
Aap rider ke samne product ko achi tarah check karein.
Agar product damaged (toota hua) hai, kharab hai, ya aap ke order ke mutabiq nahi hai, toh aap usi waqt parcel rider ko wapas (return) kar sakte hain.
2. Important Notice (Rider Ke Jane Ke Baad)
Rider ke jane ke baad koi bhi return ya refund qabeel-e-qbool nahi hoga.
Hum pehle se yeh policy wazeh kar rahe hain taake baad mein kisi kisam ki galat fehmi na ho. Khasra/nuksan ya galat product ki soorat mein wapsi sirf aur sirf rider ki maujoodgi mein hi ho sakti hai.
3. Contact & Business Address
Agar aap ko kisi kisam ki rehnumai ya maloomat darkaar ho, toh hum se rabta karein:
Email: waldrostore@gmail.com
WhatsApp / Phone: 0341 9376779
Address: 76 D Block Commercial, EME Society, DHA, Multan Road, Lahore, Pakistan
Website: waldro.shop